Wednesday, July 24, 2013

Aaj Desh

aaj desh ko khhatra hai humse! hum ka matlab hum desh vasiyon se aaj desh me jo stithi hai!
uske kahin na kahin hum khud hi jimmewar hain! 
kyonki jab hum vote dete hain tab hum neta ko nahi dekhte bas party ke sath bandhkar party ke naam par vote dalte hain!
us waqt ye nahi sochte ki jisko chunkar hum bhej rahe hain! is neta ka humare liye, hamare desh ke liye darishitikon kesa hai?

jab atal bihari vajpeyi ki sarkar bani tab har aadmi usko chahne laga tha! uske shashan kaal me kisi ko vajpeyi se koi sikayat nahi thi! 
uske baad janta ki pasand ke netaon ka akaal sa pad gya!

aaj jab modi ke roop me ek roshni ki kiran desh ke samne aai to sabhi neta uske khilaf bolne lage!
bolein bhi kyon nahi kyonki unhe khatra hai ki kahin kal unke kale karnaame public ke samne n aa jaayein!

vipakash netaon ko chhodiye bjp ke nataon ka chinta ka karan bhi yahi hai!
kya adwani ye nahi janta ki uske naam par aajtak public ka rujhan kya raha hai?
kya wo bjp ki naiya dubone ka karan nahi ban raha?

akhbar me padhkar bada dukh hua ki bjp adhyakash Raajnath singh modi ke visa ki sifarish kar rahe hain! 
magar desh ke 65 deshdrohi neta barak obama ko visa n dene ke liye likh rahe hain!
kya ye neta desh ko patan ki taraf nahi lekar ja rahe?
kya ye desh ke liye khatra nahi hain?
ab supreme court kahan hai apna!
ese ese netaon ko to maut ki saja nahi sunai jani chahiye!

jo neta modi ko hindu kehne par kat karte hain!
kya wo neta hindutav ke liye khatra nahi hain?
kya bharat ko hindu rastra kehna apradh hai?

jab bharat hindu bahulya desh hai to isko hindu rastra kehne me sharam kyon?
kya musalman ko musalman kehne me sharam hogi?
kya sikh! sikh kehlane me sharam mehsoos karta hai?

lagta hai in dharamnirpeksh kehlane wale netaon ki jaati or dharam khatam ho chuke hain!
inka koi dharam nahi!
inki koi jaati nahi!
inka koi imaan nahi!
inka koi desh  nahi!
ye sirf raajniti ke lalach me sabkuchh gavan chuke hain!

inko apna dharam batane me sharam mehsoos hoti hai! to hum in par bharosa kyon karte hain?

vote chahe kisi hindu ko do ya musalmaan ko do! par kam se kam wo ye to manta ho ki m falan hun!
jiske hath me hum desh ki baagdor de rahe hain! uska kisi dharam se to koi nata ho?
hamare neta sirf neta hai jo raajniti ke lalachi hai! inka kisi dharam se koi nata hai! ye vote ke liye kisi bhi had tak gir sakte hain! koi bhi nich kaam kar sakte hain! 
saampardaiykata ko badawa dena to inka aanuvanshik gun hota hai!

ese netaon se desh ko khatra hai! 
bharatiya sanskriti ko khatra hai! 

jiska karan hain hum----hume soch samajhkar neta ka chunav karna hoga!
desh ko bachane ke liye achhe neta ko lana hoga!
galat or sade hue v vikrit netaon ko m to kehta hun desh nikala hi de dena chaiye!

ye sab hamare hath me hai! vichar kijiye

JAI HIND

No comments:

Post a Comment