Saturday, July 13, 2013

Matri Bhasa Hindi

Sare Jahan Se Achha Hindustan Hamara!!

Jab bhi mujhe fursat milti hai to m sirf yahi sochta hun ki ye jo lines hain wo in mahashya ne kya soch kar likhi hogi....?

kya unhe hindustan se pyar tha jiske karan unhone ye lines likhi....??
ya wo hindu the....??
ya hindi premi the....???

agar esa hai to m unhe dil se naman karta hun kyonki wo kitne mahan rahe honge!! jin-hone hindustan ki itni kadar ki!!

jara sochiye unki aatma agar kahin dunia me hogi to mere khyal se khoon ke aansoo ro rahi hogi......kyonki kya aaj bharat wahi hai jinka unhone sapna dekha tha....aap hi bataiye kya bharat aaj wahi hai?
kyon...?? jab bhi m us aadmi ki mann me tasveer banata hun to dhoti kurta or sir par pagadi wala chehra hi najar aata hai! pagadi ka size 5 mtrs hota tha, jiski jagah aaj 5 ungal ke rumal ne le li hai or wo bhi kuchh hi logon ke pass hota hai.
5 mtrs ki dhoti jiska aaj ke samya me .75mtrs ki capri se kaam chalta hai!
or kamij ki to baat hi kya jo ab unki baniyaan se bhi chhoti ho gyai hai/
Dekhiye mere desh ne kitni bacchat karna sikh liya hai....
Tabhi to hai Sare Jahan Se Achha Hindustan Hamara!!!!!

ye kehne wale ko sayad pata nahi tha ki aane wale samaya me hindi ki kya ahhmiyat hogi?
nahi to wo bharat ka chhahe kuchh bhi kehta magar hindustan kabhi na kehta!!
kyonki jin logon ki maa angrezi, baap angrezi, khana angrezi, or sub kuchh angrezi yahan tak ki naam bhi angrezi hai un logon ka hindi ya hindustan se kya matlab hai?
hindi me likhi hui application ko peon bhi savikaar nahi karta or aadhikaariyon ki to m baat hi nahi karta kyonki unse mujhe dar lagta hai!
jara sochiye hum angrezon ki nakal kyon karte hain?
angrezon ne hume kya diya......
350 saal ki gulaami...
barbaadi....
garibi....
bezzati...
or har tarah ke kast sehne ke baavjud  hum uhni ka pehnaava pehante hain! kyon?
unhi ki bhasa bolte hain?
unhi jaisi bol chal.... aadi?
to kya hamari niyat unse alag hogi?

videshi angrezo se to bharat mata ko azzadi mil gayi magar in hindustani angrezon se azzadi namumkin hai!!
agar hum Hindustani hain to hindi hamari matri bhasa hai! jise hum bolna bhi pasand nahi karte...
agar yahi maa ki izzat hai to garv karo un saputon par jo bharat me rehte hue bhi hindi bolne ki himmat juta pate hain! aaj ke jamane me hindi bolna utna hi kathhin hai jitna angrezon ke raaj me unke khilaaf bolna hota tha!

Agar koi saput paida hota hai jo bharat ko hindimaya bana sake?
sayad wo bhi subhash chandra bose ke jitna hi mahan hoga!

bade dukh ki baat hai juban se kehte hain magar hindu gaoo mata ki kadar nahi karte, hindustani kehlate hain magar hindi nahi jante!

To apni maa se bhi kya pyar karte honge??????????
Itna kuchh sehne ke baad bhi  SARE JAHAN SE ACHHA HINDUSTAN HAMARA!!!

Jai hind!!!


No comments:

Post a Comment