Wednesday, July 17, 2013

Raajniti

RAAJNITI:::::::::;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;

Raaj se rajniti bana hai! artharat sahi mayne me raaj chalane ki pranaali ko rajniti kaha jata hai!
purane time me raaj ke liye katal to hote the! magar fir bhi raja kurbani ka pratik maana jata tha!
jyadatar raja apni public ki bhalai v apne rajya ki sima ke liye har waqt jaan ki baaji lagane ko tyar rehte the!
uske viprit aaj rajniti jooth ka pryayvachi ban chuki hai!
aaj jo jitna bada jooth bol sakta hai wo utna hi bada neta mana jata hai!vastav me jo logon ko jooth bolkar bewkuf nahi bana sakta wo kabhi rajniti me safal nahi ho sakta!
aaj ki rajniti ne bhartiya sabhayta ki tamaam parmparaaon par cancer ki tarah hamla karke kuchh ko khatam kar diya baki sab purani parmparaein bimar ho gayi hain!
jab bhi desh me koi badi durghatna hoti hai! us par rajniti hoti hai! har rajneta wahan vote talashne jata hai! chahe wo utrakhand trasadi ho ya koi aur!
rajneta apni rajnitik rotian sekne ke liye tyar rehte hain!
unhe kisi ki taklif ya preshaniyon ke koi matlab nahi hota!
agar koi hindu kehta hai us par kataaksh kiya jata hai!
koi musalmaanon ka paksh karta hai!
m sanjh nahi saka aajtak in netaon ki jaat kya hai! koi bhi rajneta dusre par kataaksh karte hue pane charitar ke baare me nahi sochta!
jyadatar neta apni kahi juban me hi fase rehte hain!
rajneta kehlane ka matlab hai bharstachari,jootha,beimaan,frebi ya kujaatiya hona!
1947 me jaati or dharam khatam karne ka naara diya gya tha isiliye bharat ko dharam nirpeksh kaha jata hai!
magar in netaon ne voton ke laalach me jaatigat aarakshan dekar har jaat ke bich jaatiwad ki ek itni gehri khhai khod dali jisko bharne ke liye sayad kudrat hi koi karishma kar sakti hai!
kya subhash chandra bose aur bhagat singh aadi ne isi bharat ka sapna dekha tha???
kaash aaj wo jinda hote kya wo khoon ke aansoo nahi rote?
jis desh ko aazad karwane ke liye bhartiya saputon ne jaan ki parwah n karte hue hanste hanste fansi ka fanda apne gale me daal liya ho! kya unka sapna ese bharat ka tha?????



1947 se pehle bharat ki jo tasveer hamare bujuraj byan karte the wo bharat aaj ke aazad bharat se bahut jyada achha tha!
kyonki us waqt jooth bahut kam thi! bharastachar tha hi nahi! hindu or musalmaan aapas me bhaichare ki bhavna se rehte the!
jab ki aaj sabkuchh ise viprit hai!
in sab chijon ki janani aaj ki bhartiya rajniti hai! agar koi desh hit ki baat karta hai chahe wo anna hazare ho ya baba ramdev uske sath sarkar barbartapurvak pesh aati hai!
agar hal yahi raha to socho bharat kab tak aabad rahega?
ek aadmi ek 1 lakh 76 hazar crore ke scam me lipt hai itne din tak bhi use saja nahi mili!
socho is desh ka kya hoga???
police ki badmaashon ke sath dosti hai! sareaam sadkon par katal hote hain! agar koi haq ki awaaz uthata hai to us par lathicharge kiya jata hai!
m sochta hun jo sarkar bharatiya sima ki raksha karne me saksham nahi hai kya usko apne bal ka proyag sirf  haq mangne walon par lathicharge karke hi dikhana chahiye??


esi raajniti ke liye m bhagwan se kuchh % sudhaar ki kamna karta hun!
is desh ke ujjwal bhavishya ki kamna karna to ek ungli par parvat uthane ke brabar hai!
ab bharat or bharatvasiyon ka paramatma hi rakhwala hai! kyonki yahan to rakshak hi bhakshak bane hue hain!!!

baki aap savyam hi samjhdar hain....aap hi chunaav kijiye!
IS RAJNITI KO KYA NAAM DEIN?
!!!!!JAI HIND!!!!!


No comments:

Post a Comment